vo  hadīs-e-rūh  payām-e-jāñ  jise  ham  ne  sun  ke  bhulā  diyā
vo  harīm-e-ġhaib  kā  armuġhāñ  jise  pā  ke  ham  ne  gañvā  diyā
vo  mulk-o-millat-e-jāñ-ba-lab  jise  us  ne  āb-e-baqā  diyā
usī  nā-sipās  ne  haa.e  ab  use  jām-e-marg  pilā  diyā
hameñ  jis  ne  fat.h  dilā.ī  thī  use  ḳhāk-o-ḳhūñ  meñ  milā  diyā
hameñ  jis  ne  raah  dikhā.ī  thī  use  rāste  se  haTā  diyā
use  ittibā-e-masīh  ne  vo  ajiib  dast-e-shifā  diyā
jo  gire  the  un  ko  uThā  diyā  jo  mare  the  un  ko  jalā  diyā
jo  uThā  thā  sho.ala-e-shor-o-shar  use  apne  ḳhuuñ  se  bujhā  diyā
jo  paḌā  thā  parda  nigāhoñ  meñ  use  aap  uTh  ke  uThā  diyā
vo  ḳhamīda-qad  ḳham-e-māh--enau  vo  nazar-fareb  ḳhunuk  sī  zau
vo  nigāh-e-barq-e-amal  kī  rau  ki  diloñ  ko  jis  ne  hilā  diyā
vo  faroġh-baḳhsh-e-har-anjuman  ki  zamāna-bhar  meñ  thā  zau-fagan
vo  charāġh-e-bazm  gah-e-vatan  kisī  tīra-dil  ne  bujhā  diyā
vo  kitāb-e-sulh  kā  sar-varaq  ki  miTā.ī  kashmakash-e-firaq
vo  qatīl-e-ḳhanjar-e-sabr-o-haq  ki  vatan  pe  ḳhud  ko  miTā  diyā
vo  bodh  aur  kirshn  kā  jā-nashīñ  hama-tan  amal  hama-tan  yaqīñ
vo  tabassum-e-sahar-āfrīñ  ki  chaman  laboñ  se  khilā  diyā
vo  ba-rañg-e-ā.īna  sāf-dil  vo  faroġh-e-fitrat-e-āb-o-gil
ki  jihād-e-nafs  ne  mustaqil  use  aur  husn-e-jilā  diyā
vo  jalāl-e-sheva-e-sādgī  vo  jamāl-e-sūrat-e-zindagī
vo  zulāl-e-chashma-e-āgahī  ki  zamāna-bhar  ko  jagā  diyā
vo  sharāra  barq-e-hayāt  kā  vo  sitārā  rāh-e-najāt  kā
vo  manāra  azm-o-sabāt  kā  jise  fitna-sāz  ne  Dhā  diyā
asar  us  kā  ab  hai  vasī.a-tar  ki  har  ek  dil  meñ  hai  us  kā  ghar
ye  samajh  ke  ḳhush  na  hoñ  fitna-gar  ki  use  payām-e-fanā  diyā
tirī  shaan  kaun  ghaTā  sake  use  ḳhud  ḳhudā  ne  baḌhā  diyā
ki  tujhe  baqā-e-davām  dī  tujhe  mansab-e-shohdā  diyā
tirī  ḳhāmushī  vo  zabān  thī  ki  diloñ  ko  josh-e-navā  diyā
tan-e-fāqa-kash  meñ  vo  jaan  thī  ki  hisār-e-kibr  hilā  diyā
vatan-e-azīz  ko  shaan  dī  use  qaid-e-ġham  se  chhuḌā  diyā
rah-e-ittihād  meñ  jaan  dī  jo  kahā  vo  kar  ke  dikhā  diyā
jinheñ  zer  kar  na  sakā  sitam  hue  said-e-silsila-e-karam
tirī  nekiyoñ  ne  tirī  qasam  sar-e-ḳhud-sarī  ko  jhukā  diyā
ye  urūs-e-kishvar-e-hind  thī  hama  bekasī  hama  bad-dilī
use  tū  ne  ġhāza-e-ḳhurramī  tire  ḳhuuñ  ne  rañg-e-hinā  diyā
tujhe  mandiroñ  ne  sadā.eñ  diiñ  ki  tire  karam  se  amaañ  milī
tujhe  masjidoñ  ne  duā.eñ  diiñ  ki  tabāhiyoñ  se  bachā  diyā
ye  kamāl-e-pairavī-e-alī  ye  farāḳh-hauslagī  tirī
ki  ḳhud  apne  dushman-e-jāñ  ko  bhī  vahī  armuġhān-e-duā  diyā
tujhe  bekasī  ne  sipāh  dī  tujhe  mushkilāt  ne  raah  dī
tujhe  bijliyoñ  ne  panāh  dī  tujhe  talḳhiyoñ  ne  mazā  diyā
yahī  dharm  hai  yahī  asl  diiñ  ki  ho  qaul  sach  to  amal  hasīñ
haq-o-ahl-e-haq  pe  rahe  yaqīñ  ye  payām  sab  ko  sunā  diyā
hama  raushnī  tirī  zaat  thī  hama  soz  terī  hayāt  thī
tirī  ruuh  sham.a  thī  gul  huī  tire  tan  ko  phuul  banā  diyā
tirā  faiz  dahr  meñ  aam  ho  ye  ġhubār  uTh  ke  ġhamām  ho
tirī  ḳhaak  terā  payām  ho  ye  samajh  ke  is  ko  bahā  diyā