vo  chalātā  hai  daftar-e-shādī
dost  aisā  bhī  ik  hamārā  hai
fees  letā  hai  dil  milāne  kī
aur  isī  kaam  par  ''guzārā''  hai
koī  shādī  baġhair  mar  jaa.e
ye  bhalā  kab  use  gavārā  hai
aqd-e-sānī  kī  jin  ko  ḳhvāhish  ho
un  kī  ummīd  kā  sitārā  hai
jin  ko  rishta  kahīñ  na  miltā  ho
un  kā  ye  āḳhirī  sahārā  hai
sochtā  huuñ  ki  hai  vo  ḳhush-qismat
yā  haqīqat  meñ  ġham  kā  maarā  hai
an-ginat  shādiyāñ  karā  Dālīñ
aur  ḳhud  aaj  tak  kañvārā  hai