Afqar Mohani

kanhaiya

Afqar Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1887-1971
maiñ sadqe tire haq ke pyāre kanhaiyā
zamīñ par ḳhudā ke utāre kanhaiyā
nahīñ ek gokul pe mauqūf jalve
tire har kahīñ haiñ nazāre kanhaiyā
maza to yahī hai tirī ma.arifat kā
ki har qaum samjhe hamāre kanhaiyā
vahī to haiñ bas zinda-dār-e-mohabbat
tire ishq ke jo haiñ maare kanhaiyā
jafā-o-sitam ke añdheroñ meñ mil kar
bane ḳhalq meñ chāñd taare kanhaiyā
milī hai unheñ ko to rāh-e-haqīqat
chale haiñ jo tere sahāre kanhaiyā
ajab kyā mazālim kī tārīkiyoñ meñ
zamāna tujhe phir pukāre kanhaiyā
jo haiñ aaj bhī haq-parastī ke mahram
vo zinda haiñ tere sahāre kanhaiyā
na dil 'kans' hai aur na vo daur 'afkar'
magar rah ga.e haq ke pyāre kanhaiyā
Top Urdushayar.com