maiñ  sadqe  tire  haq  ke  pyāre  kanhaiyā
zamīñ  par  ḳhudā  ke  utāre  kanhaiyā
nahīñ  ek  gokul  pe  mauqūf  jalve
tire  har  kahīñ  haiñ  nazāre  kanhaiyā
maza  to  yahī  hai  tirī  ma.arifat  kā
ki  har  qaum  samjhe  hamāre  kanhaiyā
vahī  to  haiñ  bas  zinda-dār-e-mohabbat
tire  ishq  ke  jo  haiñ  maare  kanhaiyā
jafā-o-sitam  ke  añdheroñ  meñ  mil  kar
bane  ḳhalq  meñ  chāñd  taare  kanhaiyā
milī  hai  unheñ  ko  to  rāh-e-haqīqat
chale  haiñ  jo  tere  sahāre  kanhaiyā
ajab  kyā  mazālim  kī  tārīkiyoñ  meñ
zamāna  tujhe  phir  pukāre  kanhaiyā
jo  haiñ  aaj  bhī  haq-parastī  ke  mahram
vo  zinda  haiñ  tere  sahāre  kanhaiyā
na  dil  'kans'  hai  aur  na  vo  daur  'afkar'
magar  rah  ga.e  haq  ke  pyāre  kanhaiyā