kyuuñ  nahīñ  sone  dete  mujh  ko
jab  zinda  thā  tab  par  bhī  yahī  karte  the
abhī  to  galā  nahīñ  maiñ  puurī  tarah
sunā  hai  kuchh  din  meñ
vo  jo  cross
mere  siine  par  lagāyā  hai
paḌos  kī  qabr  meñ
ek  nayā  musāfir  aaya  hai
ab  manā  kar  do  logoñ  ko
nā  jalāyā  kare  mom-battī
chalo  ab  chaltā  huuñ
aaj  saarī  raat