aligarh  hai  yahāñ  ai  dost  kyā  paayā  nahīñ  jaatā
yahāñ  vo  kaun  sā  show  hai  jo  dikhlāyā  nahīñ  jaatā
ye  ilm-o-fan  kā  gahvāra  hai  tahzībī  idāra  hai
nazar  meñ  ye  hamārī  to  siyāsat  kā  akhāḌā  hai
har  ik  sho.abe  meñ  pāoge  yahāñ  tum  pārTī-bāzī
yahāñ  rahtī  hai  aapas  meñ  hamesha  tarkī-o-tāzī
ḳhudā  ke  fazl  se  ahl-e-hunar  haiñ  ahl-e-fan  sab  haiñ
magar  DeḌh  iiñT  kī  masjid  banāne  meñ  magan  sab  haiñ
yahāñ  āsār  baaqī  haiñ  abhī  jagīr-dārī  ke
muhāfiz  paa.e  jaate  haiñ  abhī  sarmāya-dārī  ke
ġhazab  ke  haiñ  jo  yahāñ  ke  inqilābī  haiñ
yahāñ  jo  ishtirākī  haiñ  samajh  lo  bas  kitābī  haiñ
yahāñ  maz.hab  ke  Thekedār  bhī  milte  haiñ  bahtere
yahāñ  laTh-bāz-o-chāqū-mār  bhī  milte  haiñ  bahtere
aligarh  ke  kisī  function  meñ  gar  tashrīf  le  jaa.eñ
jo  fiqre-bāziyāñ  hoñgī  na  un  se  aap  ghabrā.eñ
ḳhudā-na-ḳhvāsta  ġhanDe  lafañge  aur  na  lachche  haiñ
ye  tālib-ilm  collage  ke  sharīfoñ  ke  ye  bachche  haiñ
faqat  qaumī  rivāyat  kā  ye  apnī  paas  rakhte  haiñ
koī  parvā  na  kiije  ye  faqat  bakvās  rakhte  haiñ
har  ik  mahfil  meñ  hotī  hai  yahāñ  hañgāma-ārā.ī
ki  achchhe  achchhe  ilm-o-fan  bante  haiñ  saudā.ī
yahāñ  ahl-e-aligarh  jo  bhī  sub.h-o-shām  karte  haiñ
baḌe  laa.eq  haiñ  sir-sayyad  kā  ūñchā  naam  karte  haiñ
yahāñ  ki  begameñ  bhī  ik  nirālī  shaan  rakhtī  haiñ
numūd-e-zāhiri  kā  har  qadam  par  dhyān  rakhtī  haiñ
paḌhī-likkhī  hoñ  yā  an-paḌh  yahāñ  donoñ  barābar  haiñ
jo  mauzū-e-suḳhan  suniye  to  kapḌe  aur  zevar  haiñ
alāva  is  ke  yā  to  naukaroñ  par  nauha-ḳhvānī  hai
nahīñ  to  ġhībateñ  haiñ  shaiḳhiyāñ  haiñ  lan-tarānī  hai
samājī  mashġhaloñ  meñ  yā  to  haiñ  shādī  kī  taqrībeñ
nahīñ  to  mahfil-e-mīlād  vo  majlis  niyāz  aur  nazreñ
kahīñ  hai  ijtimā  tablīġhiyoñ  kā  ek  koThī  meñ
to  hai  shī.oñ  kī  majlis  aur  raqā.im  dūsre  ghar  meñ
zarā  jo  modern  Thahrīñ  vo  haiñ  filmoñ  kī  shaidā.ī
na.ī  tasvīr  jo  aa.e  to  goyā  in  kī  ban  aa.e