aaj  qāsid  ko  idhar  se  jo  guzarte  dikhā
mujh  ko  aisā  lagā  jaise  ki  tirā  ḳhat  aayā
tū  nahīñ  phir  bhī  chalā  kartī  hai  duniyā  merī
ab  to  mahsūs  nahīñ  hotī  kabhī  terī  kamī
jaane  dahlīz  pe  utrā  thā  vo  kis  kā  saaya
yuuñ  lagā  jaise  ki  apnā  koī  vāpas  aayā
tū  mujhe  yaad  na  aa.e  kabhī  aisā  na  huā
phir  bhī  ro  ro  ke  guzar  hotā  ho  ye  bhī  na  huā
jaane  kyā  soch  ke  in  āñkhoñ  meñ  aañsū  aa.e
aaj  nāzuk  se  ka.ī  lamhe  mujhe  yaad  aayā
aaj  qāsid  ko  idhar  se  jo  guzarte  dekhā
mujh  ko  aisā  lagā  jaise  ki  terā  ḳhat  aayā