mujh  meñ  ai  yaar  mire  koī  kamālāt  na  dekh
ḳhvāb  vo  huuñ  jo  kabhī  bhī  na  haqīqat  meñ  Dhalā
mujh  meñ  ai  yaar  mire  koī  kamālāt  na  dekh
maiñ  to  is  dahr  kā  chhoTā  sā  bashar  huuñ  jis  ne
jiinā  marnā  bhī  faqat  mulk  kī  ḳhātir  chāhā
mere  jazbāt-o-tasavvur  meñ  baḌī  shiddat  thī
aag  par  chalne  kī  qadmoñ  ko  baḌī  chāhat  thī
par  kahāñ  ho  sakā  jo  dil  ne  mire  chāhā  thā
maiñ  ne  rasta  vo  chunā  raas  na  jo  aayā  thā
ab  ye  aalam  hai  ki  jiine  ke  liye  jiitā  huuñ
ek  afsos  o  kasak  dil  meñ  liye  phirtā  huuñ
maiñ  vo  gul  huuñ  jo  mahaktā  to  hai  āñgan  meñ  mire
jis  kī  ḳhushbū  ne  zamāne  ko  diyā  kuchh  bhī  nahīñ