rakh  to  lī  baat  tirī  ab  na  kabhī  bolūñgā
ab  tasavvur  meñ  kabhī  tujh  ko  na  maiñ  gholūñgā
ab  na  phir  paañv  kabhī  terī  taraf  jā.eñge
ab  na  hāthoñ  ke  irāde  tujhe  chhū  pā.eñge
rakh  to  lī  baat  tirī  ab  na  kabhī  bolūñgā
ab  na  hoñToñ  pe  bilā-vaj.h  hañsī  chhā.egī
ab  na  chehre  pe  koī  shakl  utar  pā.egī
ab  na  zulfoñ  ko  tire  hāthoñ  kī  chāhat  hogī
ab  na  ḳhvāboñ  ko  tire  aane  kī  hasrat  hogī
rakh  to  lī  baat  tirī  ab  na  kabhī  bolūñgā
ab  na  paimāne  meñ  tasvīr  tirī  utregī
ab  na  dil  se  koī  nāzuk  sī  ḳhushī  guzregī
ab  na  darvāze  kī  dastak  pe  nazar  jā.egī
ab  na  naġhmoñ  se  mire  terī  mahak  jā.egī
rakh  to  lī  baat  tirī  ab  na  kabhī  bolūñgā