vo  aurat  thī
magar  ik  ruup  meñ  honā  ise  hargiz  na  bhātā  thā
vo  maañ  thī
jis  ne  saa.e  meñ  chhupā  rakkhe  the  dukh  un  ātmāoñ  ke
use  āzār  apnānā  bahut  achchhā  lagā  kartā  thā
usī  ne  dard  siine  meñ  basāne  ke  hunar  se  naam  paayā  thā
bahan  thī
jis  ne  bhaa.ī  kah  diyā  to  laaj  rakh  kar  ke  dikhāyā  bhī
sunā  hai  us  ke  jā  chukne  se  saare  shahr  meñ  vo  dard  phailā  hai
jise  us  ne
vo  aurat  thī
magar  ik  ruup  meñ  jiinā  use  aatā  nahīñ  thā