Charkh Chinioti

doctor-zakir-husain

Charkh Chinioti

ek mard-e-bā-safā thā doctor-zākir-husain
nek-dil farmāñ-ravā thā doctor-zākir-husain
sāda-dil sāda-mizāj-o-bā-amal insān thā
ḳhūbiyoñ kā aa.ina thā doctor-zākir-husain
pāsdār-e-hurriyat thā ābrū-e-hind thā
ek sachchā rahnumā thā doctor-zākir-husain
us ke hāthoñ meñ amānat thī vatan kī zindagī
ik amīn-e-bā-vafā thā doctor-zākir-husain
us ke hāthoñ meñ salāmat thā safīna desh kā
ya.anī apnā nāḳhudā thā doctor-zākir-husain
āsmān-e-ilm kā thā ik daraḳhshāñ āftāb
chashma-e-nūr-o-ziyā thā doctor-zākir-husain
mehrbānī har savālī par kiyā kartā thā vo
be-basoñ kā ham-navā thā doctor-zākir-husain
rahnumā-e-qaum ho kar bhī gadā-e-qaum thā
bekasoñ kā aasrā thā doctor-zākir-husain
shar.a kā pāband thā lekin ta.assub se barī
sach to ye hai devtā thā doctor-zākir-husain
ik daraḳhshanda sitārā thā hamāre desh kā
kyā batā.e charḳh kyā thā doctor-zākir-husain
Top Urdushayar.com