zindagī  itrā  rahī  hai  aaj  tere  naam  par
naaz  hai  paiġhambaroñ  ko  bhī  tire  paiġhām  par
rahbar-e-insāniyat  terī  aqīdat  ke  tufail
ham  ne  ġhalba  pā  liyā  hai  gardish-e-ayyām  par
mere  dil  kī  vus.ateñ  añgḌā.iyāñ  lene  lagīñ
jalva  dekhā  jab  tirā  har  moḌ  par  har  gaam  par
kyuuñ  na  ho  phir  āqibat  kī  fikr  se  vo  be-niyāz
zindagī  qurbān  kar  dī  jis  ne  tere  naam  par
maujzan  hai  jis  meñ  ai  charḳh  ik  surūr-e-sarmadī
merī  duniyā  hai  tasadduq  is  chhalakte  jaam  par