maiñ  ki  lā-intihā  vaqt  kī  rahguzar  par
sirf  ik  lamha-e-muḳhtasar
maiñ  vo  qatra  ki  jis  meñ  samundar  kī  betābiyāñ  maujzan  haiñ
vo  lamha  jo  mustaqbil-o-hāl-o-māzī  kā  aa.ina  hai
maiñ  vo  ik  chashm-e-pur-shauq  jis  ke  liye  vus.at-e-dasht-o-sahrā  bhī  kam  thī
maiñ  ne  phir  chāñd  tāroñ  par  Daalī  kamandeñ
āsmānoñ  ke  vo  jagmagāte  makīñ
maiñ  ki  ḳhud  mahram-e-zauq-e-parvāz
hamrāz  sar-e-bulandī