Akhtar Shirani

mujhe le chal

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948

mirī 'salmā' mujhe le chal un rañgīñ bahāroñ meñ!

jahāñ rañgīñ bahishteñ kheltī haiñ sabza-zāroñ meñ!

jahāñ hūroñ zulfeñ jhūmtī haiñ shāḳh-sāroñ meñ

vo mastāna bahāreñ jin pe qurbāñ arz-e-jannat hai

jahāñ har zarra ik gahvāra-e-mauj-e-latāfat hai

vo doshīza fazā.eñ jannatoñ hai gumāñ jin par

chhiḌaktā hai mai-e-tasnīm-o-kausar āsmāñ jin par

jahāñ shaam o sahar niilī ghaTā.eñ ghir ke aatī haiñ!

ufuq god meñ nīlam pariyāñ muskurātī haiñ!

jahāñ chāroñ taraf bāġh-o-gulistāñ lahlahāte haiñ

shagufta vādiyoñ meñ jannatoñ ke ḳhvāb aate haiñ

hukūmat hai jahāñ sidq-o-safā o mehr-o-ulfat

nashāt-o-aish-o-ishrat surūr-o-lutf-o-rāhat

jahāñ ābād ye nāpāk shahristāñ nahīñ hote

fasādī fitna-parvar aur zalīl insāñ nahīñ hote

bahishtoñ latāfat hai jahāñ zindagānī meñ

maza aatā hai kausar jahāñ ke saada paanī meñ

''hayāt-e-dā.imī'' likkhā huā hai jin ke aivāñ par

iram-zār-e-abad hai sāya-zan jin ke ḳhayābāñ par

mohabbat meñ jo ho jaatā hai pā.inda nahīñ martā!

sadāqat jis ko kar detī hai tābinda nahīñ martā!

Top Urdushayar.com