dāvat
bahār  bītne  vaalī  hai  aa  bhī  jā  salmā
mileñge  hashr  meñ  mat  kah  ye  baar  baar  mujhe
ho  kaise  hashr  ke  va.ade  pe  e'tibār  mujhe
nashāt-e-umr  ko  ummīd  par  nisār  na  kar
visāl-e-sub.h-e-qayāmat  kā  intizār  na  kar
kise  ḳhabar  hai  qayāmat  meñ  ham  mileñ  na  mileñ
fazā-e-rauz-e-jannat  meñ  ham  mileñ  na  mileñ
gañvā  na  sog  meñ  apne  shabāb  kī  rāteñ
nazar  na  ā.eñgī  phir  māhtāb  kī  rāteñ
ḳhabar  le  jald  ki  umr-e-azīz  faanī  hai
sarā-e-dahr  kī  har  chiiz  ānī-jānī  hai
kise  ḳhabar  ye  ghaTā.eñ  raheñ  raheñ  na  raheñ
ye  nik.hateñ  ye  havā.eñ  raheñ  raheñ  na  raheñ
sabāt-e-ahd  zamāne  meñ  kisī  ne  paayā  hai
zamāna  rañg  badalne  ko  rañg  laayā  hai
tire  ḳhayāl  ko  dil  meñ  basā.e  baiThe  haiñ
ḳhudā.ī  ho  ki  ḳhudā  ho  bhulā.e  baiThe  haiñ
ye  fasl  aur  ye  bahāreñ  nazar  na  ā.eñgī  phir
ye  bādaloñ  kī  qatāreñ  nazar  na  ā.eñgī  phir
batā  tū  kyā  ye  nazāre  ujaḌ  na  jā.eñge
ye  naddiyāñ  ye  kināre  ujaḌ  na  jā.eñge
ġhamoñ  pe  kī  haiñ  fidā  shādmāniyāñ  ham  ne
ḳhudā  ke  naam  pe  taj  diiñ  javāniyāñ  ham  ne
fanā-nasīb  haiñ  ye  sabza-zār  ke  manzar
ye  kohsār  dil-e-jūebār  ke  manzar
ḳhabar  le  jald  ki  bahkī  huī  bahār  hai  aaj
nashāt-e-ḳhuld  se  ma.amūr  sabza-zār  hai  aaj
tū  hukm  de  to  sitāroñ  ko  chhīn  lā.ūñ  maiñ
falak  se  us  ke  nazāroñ  ko  chhīn  lā.ūñ  maiñ
tū  sāmne  ho  to  kaun-o-makāñ  ko  gum  kar  duuñ
ḳham-e-tarab  meñ  ḳham-e-āsmāñ  ko  gum  kar  duuñ