aaj  qismat  se  nazar  aa.ī  hai  barsāt  kī  raat
kyā  bigaḌ  jā.egā  rah  jaao  yahīñ  raat  kī  raat
un  kī  pā-bosī  ko  jaa.e  to  sabā  kah  denā
aaj  tak  yaad  hai  vo  aap  ke  gujrāt  kī  raat
jis  meñ  salmā  ke  tasavvur  ke  haiñ  taare  raushan
merī  āñkhoñ  hai  vo  ālam-e-jazbāt  kī  raat
haa.e  vo  mast  ghaTā  haa.e  vo  salmā  kī  adā
aah  vo  rūd-e-chanāb  aah  vo  gujrāt  kī  raat
mere  siine  meñ  idhar  zulf-e-muattar  kā  hujūm
aah  vo  zulf  ki  āvāra  ḳharābāt  kī  raat
sat.h-e-doyā  pe  idhar  nashshe  meñ  lahrā.ī  huī
rañg  laa.ī  huī  chhā.ī  huī  barsāt  kī  raat
uf  vo  soī  huī  khoī  huī  fitrat  kī  bahār
uf  vo  mahkī  huī  bahkī  huī  barsāt  kī  raat
phir  vo  armān  ham-āġhoshī  kā  jazb-e-gustāḳh
aah  vo  raat  vo  salmā  se  mulāqāt  kī  raat
kyuuñ  na  un  donoñ  pe  miTne  kī  ho  hasrat  aḳhtar
uf  vo  us  raat  kī  baat  aah  vo  us  baat  kī  raat