Akhtar Shirani

ai ishq hamein barbaad na kar

Akhtar Shirani

Tonk, Rajasthan, India

1905-1948
ai ishq na chheḌ aa aa ke hameñ ham bhūle huoñ ko yaad na kar
pahle hī bahut nāshād haiñ ham tū aur hameñ nāshād na kar
yuuñ zulm na kar be-dād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
jis din se mile haiñ donoñ kā sab chain gayā ārām gayā
chehroñ se bahār-e-sub.h ga.ī ā.ankhoñ se faroġh-e-shām gayā
ġhamgīñ na banā nāshād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ham rātoñ ko uTh kar rote haiñ ro ro ke duā.eñ karte haiñ
ā.ankhoñ meñ tasavvur dil meñ ḳhalish sar dhunte haiñ aa.heñ bharte haiñ
ye zulm tū ai jallād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ye rog lagā hai jab se hameñ ranjīda huuñ maiñ bīmār hai vo
har vaqt tapish har vaqt ḳhalish be-ḳhvāb huuñ maiñ bedār hai vo
aur zabt kahe fariyād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
jis din se bañdhā hai dhyān tirā ghabrā.e hue se rahte haiñ
har vaqt tasavvur kar kar ke sharmā.e hue se rahte haiñ
pāmāl na kar barbād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
bedard! zarā insāf to kar is umr meñ aur maġhmūm hai vo
phūloñ kī tarah nāzuk hai abhī tāroñ kī tarah ma.asūm hai vo
mazlūm pe yuuñ be-dād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ai ishq ḳhudārā dekh kahīñ vo shoḳh-e-hazīñ bad-nām na ho
vo māh-laqā bad-nām na ho vo zohra-jabīñ bad-nām na ho
us parda-nashīñ ko yaad na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ummīd kī jhūTī jannat ke rah rah ke na dikhlā ḳhvāb hameñ
ā.inda kī farzī ishrat ke va.adoñ se na kar betāb hameñ
chhoḌ aisī ḳhushī ko yaad na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
kyā samjhe the aur tū kyā niklā ye soch ke hī hairān haiñ ham
hai pahle-pahal kā tajraba aur kam-umr haiñ ham anjān haiñ ham
nādān haiñ ham nāshād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
vo raaz hai ye ġham aah jise pā jaa.e koī to ḳhair nahīñ
ā.ankhoñ se jab aañsū bahte haiñ aa jaa.e koī to ḳhair nahīñ
hai zulm magar fariyād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
do din hī meñ ahd-e-tiflī ke ma.asūm zamāne bhuul ga.e
ā.ankhoñ se vo ḳhushiyāñ miT sī ga.iiñ lab ko vo tarāne bhuul ga.e
in ḳhvāboñ sī yuuñ āzād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
us jān-e-hayā kā bas nahīñ kuchh be-bas hai parā.e bas meñ hai
be-dard diloñ ko kyā hai ḳhabar jo pyaar yahāñ aapas meñ hai
kahtī hai hayā fariyād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
ā.ankhoñ ko ye kyā āzār huā har jazb-e-nihāñ par ro denā
āhañg-e-tarab par jhuk jaanā āvāz-e-fuġhāñ par ro denā
ehsās ko ġham buniyād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
har dam abadī rāhat kā samāñ dikhlā ke hameñ dil-gīr na kar
lillāh habāb-e-āb-e-ravāñ par naqsh-e-baqā tahrīr na kar
ta.amīr na kar ābād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
jī chāhtā hai ik dūsre ko yuuñ aaTh pahar ham yaad kareñ
ā.ankhoñ meñ basā.eñ ḳhvāboñ ko aur dil meñ ḳhayāl ābād kareñ
ye ārzueñ ījād na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
duniyā kā tamāshā dekh liyā ġhamgīn sī hai betāb sī hai
ummīd yahāñ ik vahm sī hai taskīn yahāñ ik ḳhvāb sī hai
duniyā meñ ḳhushī ko yaad na kar
ai ishq hameñ barbād na kar
Top Urdushayar.com