ai  ishq  na  chheḌ  aa  aa  ke  hameñ  ham  bhūle  huoñ  ko  yaad  na  kar
pahle  hī  bahut  nāshād  haiñ  ham  tū  aur  hameñ  nāshād  na  kar
yuuñ  zulm  na  kar  be-dād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
jis  din  se  mile  haiñ  donoñ  kā  sab  chain  gayā  ārām  gayā
chehroñ  se  bahār-e-sub.h  ga.ī  ā.ankhoñ  se  faroġh-e-shām  gayā
ġhamgīñ  na  banā  nāshād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
ham  rātoñ  ko  uTh  kar  rote  haiñ  ro  ro  ke  duā.eñ  karte  haiñ
ā.ankhoñ  meñ  tasavvur  dil  meñ  ḳhalish  sar  dhunte  haiñ  aa.heñ  bharte  haiñ
ye  zulm  tū  ai  jallād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
ye  rog  lagā  hai  jab  se  hameñ  ranjīda  huuñ  maiñ  bīmār  hai  vo
har  vaqt  tapish  har  vaqt  ḳhalish  be-ḳhvāb  huuñ  maiñ  bedār  hai  vo
aur  zabt  kahe  fariyād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
jis  din  se  bañdhā  hai  dhyān  tirā  ghabrā.e  hue  se  rahte  haiñ
har  vaqt  tasavvur  kar  kar  ke  sharmā.e  hue  se  rahte  haiñ
pāmāl  na  kar  barbād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
bedard!  zarā  insāf  to  kar  is  umr  meñ  aur  maġhmūm  hai  vo
phūloñ  kī  tarah  nāzuk  hai  abhī  tāroñ  kī  tarah  ma.asūm  hai  vo
mazlūm  pe  yuuñ  be-dād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
ai  ishq  ḳhudārā  dekh  kahīñ  vo  shoḳh-e-hazīñ  bad-nām  na  ho
vo  māh-laqā  bad-nām  na  ho  vo  zohra-jabīñ  bad-nām  na  ho
us  parda-nashīñ  ko  yaad  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
ummīd  kī  jhūTī  jannat  ke  rah  rah  ke  na  dikhlā  ḳhvāb  hameñ
ā.inda  kī  farzī  ishrat  ke  va.adoñ  se  na  kar  betāb  hameñ
chhoḌ  aisī  ḳhushī  ko  yaad  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
kyā  samjhe  the  aur  tū  kyā  niklā  ye  soch  ke  hī  hairān  haiñ  ham
hai  pahle-pahal  kā  tajraba  aur  kam-umr  haiñ  ham  anjān  haiñ  ham
nādān  haiñ  ham  nāshād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
vo  raaz  hai  ye  ġham  aah  jise  pā  jaa.e  koī  to  ḳhair  nahīñ
ā.ankhoñ  se  jab  aañsū  bahte  haiñ  aa  jaa.e  koī  to  ḳhair  nahīñ
hai  zulm  magar  fariyād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
do  din  hī  meñ  ahd-e-tiflī  ke  ma.asūm  zamāne  bhuul  ga.e
ā.ankhoñ  se  vo  ḳhushiyāñ  miT  sī  ga.iiñ  lab  ko  vo  tarāne  bhuul  ga.e
in  ḳhvāboñ  sī  yuuñ  āzād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
us  jān-e-hayā  kā  bas  nahīñ  kuchh  be-bas  hai  parā.e  bas  meñ  hai
be-dard  diloñ  ko  kyā  hai  ḳhabar  jo  pyaar  yahāñ  aapas  meñ  hai
kahtī  hai  hayā  fariyād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
ā.ankhoñ  ko  ye  kyā  āzār  huā  har  jazb-e-nihāñ  par  ro  denā
āhañg-e-tarab  par  jhuk  jaanā  āvāz-e-fuġhāñ  par  ro  denā
ehsās  ko  ġham  buniyād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
har  dam  abadī  rāhat  kā  samāñ  dikhlā  ke  hameñ  dil-gīr  na  kar
lillāh  habāb-e-āb-e-ravāñ  par  naqsh-e-baqā  tahrīr  na  kar
ta.amīr  na  kar  ābād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
jī  chāhtā  hai  ik  dūsre  ko  yuuñ  aaTh  pahar  ham  yaad  kareñ
ā.ankhoñ  meñ  basā.eñ  ḳhvāboñ  ko  aur  dil  meñ  ḳhayāl  ābād  kareñ
ye  ārzueñ  ījād  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar
duniyā  kā  tamāshā  dekh  liyā  ġhamgīn  sī  hai  betāb  sī  hai
ummīd  yahāñ  ik  vahm  sī  hai  taskīn  yahāñ  ik  ḳhvāb  sī  hai
duniyā  meñ  ḳhushī  ko  yaad  na  kar
ai  ishq  hameñ  barbād  na  kar