tirā  nanhā  sā  qāsid  jo  tire  ḳhat  le  kar  aatā  thā
na  thā  ma.alūm  use  kis  tarah  ke  paiġhām  laatā  thā
magar  mujh  ko  ḳhayāl  aatā  thā  akasr  us  zamāne  meñ
ki  us  kī  hairat-e-tiflī  hai  kyuuñ  gum  us  fasāne  meñ
vo  pahle  se  ziyāda  bhaa.ī  ko  kyuuñ  pyaar  kartī  haiñ
lifāfa  de  ke  lutf-e-ḳhās  kā  iz.hār  kartī  haiñ
tire  qāsid  ke  ye  afkār  dil  ko  gudgudāte  the
aur  apne  bholpan  se  mere  jazboñ  ko  hañsāte  the
magar  aaj  is  tarah  dekhā  hai  vo  naqsh-e-hasīñ  maiñ  ne
ki  rakh  dī  ḳhāk-e-hairat  par  mohabbat  kī  jabīñ  maiñ  ne
junūn-e-ibtidā-e-ishq  ne  karvaT  sī  lī  dil  meñ
pas-az  muddat  ye  le  ke  aa  ga.ī  phir  apne  muhmal  meñ
sharārat  kā  ye  nazzāra  mirī  hairat  kā  sāmāñ  thā
ki  is  parda  ke  andar  terā  rāz-e-ishq  uryāñ  thā