yahī  vaadī  hai  vo  hamdam  jahāñ  'rehāna'  rahtī  thī
vo  is  vaadī  kī  shahzādī  thī  aur  shāhāna  rahtī  thī
inhī  sahrāoñ  meñ  vo  apne  galle  ko  charātī  thī
inhīñ  chashmoñ  pe  vo  har  roz  muñh  dhone  ko  aatī  thī
khajūroñ  ke  tale  vo  jo  khañDar  se  jhilmilāte  haiñ
ye  sab  'rehāna'  ke  ma.asūm  afsāne  sunāte  haiñ
mire  hamdam  ye  naḳhlistān  ik  din  us  kā  maskan  thā
isī  ke  ḳharma.ī-e-āġhosh  meñ  us  kā  nasheman  thā
ye  phūloñ  kī  hasīñ  ābādiyāñ  kāshāna  thiiñ  us  kā
vo  ik  but  thī  ye  saarī  vādiyāñ  but-ḳhāna  thiiñ  us  kā
tabāhī  kī  havā  is  ḳhāk-e-rañgīñ  tak  na  aa.ī  thī
ye  vo  ḳhitta  thā  jis  meñ  nau-bahāroñ  kī  ḳhudā.ī  thī
isī  vīrāna  meñ  ik  din  bahishteñ  lahlahātī  thiiñ
ghaTā.eñ  ghir  ke  aatī  thiiñ  havā.eñ  muskurātī  thiiñ
ye  vīrāna  guzar  jis  meñ  nahīñ  hai  kārvānoñ  kā
jahāñ  miltā  nahīñ  nām-o-nishāñ  tak  sārbānoñ  kā
yahīñ  ābād  thī  ik  din  mire  afkār  kī  malka
mire  jazbāt  kī  devī  mire  ash.ār  kī  malka
sabā  shāḳhoñ  meñ  naḳhlistāñ  kī  jis  dam  sarsarātī  hai
mujhe  har  lahr  se  'rehāna'  kī  āvāz  aatī  hai
fazā.eñ  gūñjtī  haiñ  ab  bhī  un  vahshī  tarānoñ  se
suno  āvāz  sī  aatī  hai  un  ḳhākī  chaTānoñ  se
mire  hamdam  junūn-e-shauq  kā  iz.hār  karne  de
mujhe  us  dasht  kī  ik  ik  kalī  se  pyaar  karne  de
ba-rabb-e-kāba  us  kī  yaad  meñ  umreñ  gañvā  dūñgā
maiñ  us  vaadī  ke  zarre  zarre  par  sajde  bichhā  dūñgā
vo  is  Tiile  par  akasr  āshiqāna  giit  gaatī  thī
purāne  sūrmāoñ  ke  fasāne  gungunātī  thī
khajūroñ  ke  hasīñ  saa.e  zamīñ  par  lahlahāte  the
sitāre  jagmagāte  the  shagūfe  khilkhilāte  the
yahīñ  bastī  thī  ai  hamdam  mire  rūmān  kī  bastī
mire  afsānoñ  kī  duniyā  mire  vijdān  kī  bastī
shamīm-e-zulf  se  us  kī  mahak  jaatī  thī  kul  vaadī
nigāh-e-mast  se  us  kī  bahak  jaatī  thī  kul  vaadī
vo  gesu-e-pareshāñ  yā  ghaTā.eñ  raqs  kartī  thiiñ
fazā.eñ  vajd  kartī  thiiñ  havā.eñ  raqs  kartī  thiiñ
gudāz-e-ishq  se  labrez  thā  qalb-e-hazīñ  us  kā
magar  ā.īna-dār-e-sharm  thā  rū-e-hasīñ  is  kā
use  phūloñ  ne  merī  yaad  meñ  betāb  dekhā  hai
sitāroñ  kī  nazar  ne  raat  bhar  be-ḳhvāb  dekhā  hai
yahīñ  ham-rañg-e-gul-hā-e-hasīñ  rahtī  thī  'rehāna'
misāl-hūr-e-firdaus-e-barīñ  rahtī  thī  'rehāna'
payām  dard-e-dil  'aḳhtar'  diye  jaatā  huuñ  vaadī  ko
salām-e-ruḳhsat-e-ġhamgīñ  kiye  jaatā  huuñ  vaadī  ko