ai  ishq  kahīñ  le  chal  is  paap  kī  bastī  se
nafrat-gah-e-ālam  se  la.anat-gah-e-hastī  se
duur  aur  kahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
ham  prem  pujārī  haiñ  to  prem  kanhiyyā  hai
to  prem  kanhiyyā  hai  ye  prem  kī  nayyā  hai
kuchh  fikr  nahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
be-rahm  zamāne  ko  ab  chhoḌ  rahe  haiñ  ham
bedard  azīzoñ  se  muñh  moḌ  rahe  haiñ  ham
bas  taab  nahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
ye  jabr-kada  āzād  afkār  kā  dushman  hai
armānoñ  kā  qātil  hai  ummīdoñ  kā  rahzan  hai
chal  yaañ  se  kahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
aapas  meñ  chhal  aur  dhoke  sansār  kī  rīteñ  haiñ
is  paap  kī  nagrī  meñ  ujḌī  huī  parteñ  haiñ
sukh  chain  nahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
ik  mazbah-e-jazbāt-o-afkār  hai  ye  duniyā
ik  maskan-e-ashrār-o-āzār  hai  ye  duniyā
duur  is  se  kahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
ye  dard  bharī  duniyā  bastī  hai  gunāhoñ  kī
dil-chāk  umīdoñ  kī  saffāk  nigāhoñ  kī
haiñ  ġham  se  hazīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
ā.ankhoñ  meñ  samā.ī  hai  ik  ḳhvāb-numā  duniyā
tāroñ  kī  tarah  raushan  mahtāb-numā  diyā
lillāh  vahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
vo  tiir  ho  sāgar  kī  rut  chhā.ī  ho  phāgun  kī
phūloñ  se  mahaktī  ho  purvā.ī  ghane  ban  kī
jī  bas  meñ  nahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
qudarat  ho  himāyat  par  hamdard  ho  qismat  bhī
'salmā'  bhī  ho  pahlū  meñ  'salmā'  kī  mohabbat  bhī
ai  tifl-e-hasīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
ai  ishq  hameñ  le  chal  ik  nuur  kī  vaadī  meñ
ik  ḳhvāb  kī  duniyā  meñ  ik  tuur  kī  vaadī  meñ
tā  ḳhuld-e-barīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
sansār  ke  us  paar  ik  is  tarah  kī  bastī  ho
jo  sadiyoñ  se  insāñ  kī  sūrat  ko  tarastī  ho
yuuñ  ho  to  vahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
maġhrib  kī  havāoñ  se  āvāz  sī  aatī  hai
aur  ham  ko  samundar  ke  us  paar  bulātī  hai
chal  is  ke  qarīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
ik  aisī  fazā  jis  tak  ġham  kī  na  rasā.ī  ho
duniyā  kī  havā  jis  meñ  sadiyoñ  se  na  aa.ī  ho
ai  ishq  vahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
ek  aisī  jagah  jis  meñ  insān  na  baste  hoñ
ye  makr  o  jafā-pesha  haivān  na  baste  hoñ
to  ḳhauf  nahīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
barsāt  kī  matvālī  ghanghor  ghaTāoñ  meñ
kohsār  ke  dāman  kī  mastāna  havāoñ  meñ
ai  zohra-jabīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
in  chāñd  sitāroñ  ke  bikhre  hue  shahroñ  meñ
in  nuur  kī  kirnoñ  kī  Thahrī  huī  nahroñ  meñ
ai  ḳhizr-e-hasīñ  le  chal!
ai  ishq  kahīñ  le  chal!
ik  aisī  bahisht  aa.iiñ  vaadī  meñ  pahuñch  jaa.eñ
jis  meñ  kabhī  duniyā  ke  ġham  dil  ko  na  taḌpā.eñ