lo  phir  basant  aa.ī
phūloñ  pe  rañg  laa.ī
aafat  ga.ī  ḳhizāñ  kī
qismat  phirī  jahāñ  kī
khetoñ  kā  har  charinda
bāġhoñ  kā  har  parinda
dhartī  ke  bel-būTe
andāz-e-nau  se  phūTe
phūlī  huī  hai  sarsoñ
bhūlī  huī  hai  sarsoñ
laḌkoñ  kī  jañg  dekho
Dor  aur  patañg  dekho
hai  ishq  bhī  junūñ  bhī
mastī  bhī  josh-e-ḳhūñ  bhī
ik  nāznīñ  ne  pahne
phūloñ  ke  zard  gahne