siyāhī  ban  ke  chhāyā  shahr  par  shaitān  kā  fitna
gunāhoñ  se  lipaT  kar  so  gayā  insān  kā  fitna
panāheñ  husn  ne  pā.īñ  siyahkārī  ke  dāman  meñ
vafādārī  huī  rū-posh  nādārī  ke  dāman  meñ
mayassar  haiñ  zarī  ke  shāmiyāne  ḳhush-nasībī  ko
oḌhā  dī  sāya-e-dīvār  ne  chādar  ġharībī  ko
mashaqqat  ko  sikhā  kar  ḳhūbiyāñ  ḳhidmat-guzārī  kī
huiiñ  be-ḳhauf  be-īmāniyāñ  sarmāya-dārī  kī
liyā  āġhosh  meñ  phūloñ  kī  sījoñ  ne  amīrī  ko
muhayyā  ḳhaak  hī  ne  kar  diye  aasan  faqīrī  ko
taḌapnā  chhoḌ  kar  chup  ho  ga.e  jī  hārne  vaale
maze  kī  niiñd  so.e  tāziyāne  mārne  vaale
vo  rūhānī  vo  jismānī  uqūbat  kam  huī  āḳhir
ġhulāmī  beḌiyoñ  ke  bojh  se  be-dam  huī  āḳhir
hue  fariyādiyoñ  par  band  aivānoñ  ke  darvāze
ki  ḳhud  muhtāj-e-darbāñ  haiñ  jahāñ-bānoñ  ke  darvāze
isī  andāz  se  jā  soī  ġhaflat  bādshāhoñ  kī
surūr  o  kaif  ban  kar  chhā  ga.iiñ  nīndeñ  gunāhoñ  kī
sharābeñ  ḳhatm  kar  ke  ho  ga.e  ḳhāmosh  hañgāme
bil-āḳhir  niiñd  aa.ī  so  ga.e  pur-josh  hañgāme
thamā  jab  zindagī  kā  josh  parḳhāsh-e-ajal  jaagī
amal  ko  dekh  kar  mad.hosh  pādāsh-e-amal  jaagī
uThāyā  maut  ne  patthar  jahannam  ke  dahāne  se
jahāñ  ātish  kā  dariyā  kholtā  thā  ik  zamāne  se
bulandī  se  tabāhī  ke  samundar  ne  kiyā  dhāvā
chaTānoñ  ke  jigar  se  phuuT  niklā  ātshīñ-lāvā
dikhā  dī  aag  aivānoñ  ko  mazlūmī  kī  aahoñ  ne
uThā.e  shola-hā-e-ātshīñ  bekas  nigāhoñ  ne
unheñ  muḳhtār  ban  kar  bekasī  ke  ḳhuun  kī  maujeñ
hisār-e-marg  ne  mahsūr  kar  liiñ  jañg  jo  faujeñ
na  husn  o  ishq  ne  paa.ī  amaañ  qahr-e-ilāhī  se
dabī  pādāsh  amīrī  se  faqīrī  se  na  shāhī  se
sitāroñ  kī  nigāhoñ  ne  dhuāñ  uThtā  huā  dekhā
magar  ḳhurshīd  ne  kuchh  bhī  na  miTTī  ke  sivā  dekhā