Hafeez Jalandhari

shaer

Hafeez Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1982
fitna-e-ḳhufta jagā.e us ghaḌī kis kī majāl
qaid haiñ shahzādiyāñ koī nahīñ pursān-e-hāl
in ġharīboñ kī madad par koī āmāda nahīñ
ek shā.er hai yahāñ lekin vo shahzāda nahīñ
āhūoñ kī surmagīñ palkeñ fazā par hukmarāñ
chhā.ī haiñ arz o samā par āhinīñ sī jāliyāñ
duur se kohsār o vaadī par ye hotā hai gumāñ
uuñT haiñ baiThe hue utrā huā hai kārvāñ
yā asar haiñ āsmān-e-pīr par barsāt ke
ḳhema-e-bosīda meñ paivand haiñ bānāt ke
aur is ḳheme ke andar zindagī soī huī
tīrgī soī huī tābindagī soī huī
ai 'hafīz' in niiñd ke mātoñ kī manzil se nikal
kaam hai darpesh dām-e-dīda-o-dil se nikal
dīda-o-dil ko bhī ġhaflat ke shabistāñ se nikāl
ye jo ḳhāmoshī kī zanjīreñ haiñ in ko toḌ Daal
sub.h karne ke liye phir hāv-hū darkār hai
shukr kar sotī huī duniyā meñ tū bedār hai
Top Urdushayar.com