uf  vo  raavī  kā  kināra  vo  ghaTā  chhā.ī  huī
shaam  ke  dāman  meñ  sabze  par  bahār  aa.ī  huī
vo  shafaq  ke  bādaloñ  meñ  nīl-gūñ  surḳhī  kā  rañg
aur  raavī  kī  talā.ī  nuqra.ī  lahroñ  meñ  jañg
shah-dare  meñ  aam  ke  peḌoñ  pe  koyal  kī  pukār
Dāliyoñ  par  sabz  pattoñ  surḳh  phūloñ  kā  nikhār
vo  gulābī  aks  meñ  Duubī  huī  chashm-e-hubāb
aur  nashe  meñ  mast  vo  sarmast  maujoñ  ke  raubāb
vo  havā  ke  sard  jhoñke  shoḳhiyāñ  karte  hue
bin  pii.e  bā-mast  kar  dene  kā  dam  bharte  hue
duur  se  zālim  papīhe  kī  sadā  aatī  huī
pai-ba-pai  kam-baḳht  pī-pī  kah  kar  uksātī  huī
aur  vo  maiñ  ThanDī  ThanDī  ret  par  baiThā  huā
donoñ  hāthoñ  se  kaleja  thaam  kar  baiThā  huā
shaiḳh-sāhib!  sach  to  ye  hai  un  dinoñ  piitā  thā  maiñ
un  dinoñ  piitā  thā  ya.anī  jin  dinoñ  jiitā  thā  meñ
ab  vo  aalam  hī  kahāñ  hai  mai  piye  muddat  huī
ab  maiñ  tauba  kyā  karūñ  tauba  kiye  muddat  huī