vahī  ġhunchoñ  kī  shādābī  vahī  phūloñ  kī  nik.hat  hai
vahī  sair-e-gulistāñ  hai  vahī  josh-e-masarrat  hai
vahī  maḳhmūr  rāteñ  ab  bhī  tasvīr-e-taḳhayyul  haiñ
vahī  dil-chasp  bāteñ  ab  bhī  tasvīr-e-taḳhayyul  haiñ
ghaTā.eñ  ab  bhī  uThtī  haiñ  talātum  ab  bhī  hotā  hai
shagūfe  ab  bhī  khilte  haiñ  tabassum  ab  bhī  hotā  hai
tumhārī  yaad  aise  meñ  satātī  hai  mujhe  ab  bhī
shab-e-tanhā.ī  meñ  pahroñ  rulātī  hai  mujhe  ab  bhī
junūñ-sāmāñ  nazāroñ  ke  taqāze  ab  bhī  hote  haiñ
tamannā  ab  bhī  hotī  hai  irāde  ab  bhī  hote  haiñ
rahegā  yuuñ  laboñ  par  shikva-e-jaur-e-ḳhizāñ  kab  tak
satā.egā  bhalā  nāzuk  diloñ  ko  ye  jahāñ  kab  tak
mujhe  din  raat  rahtī  hai  tumhārī  justujū  ab  bhī
tasavvur  meñ  kiyā  kartā  huuñ  tum  se  guftugū  ab  bhī