safed  aur  siyāh  goToñ  ke  hasīñ  ik  dā.ere  andar
bahut  hī  surḳh  rañgat  kī  hasīñ  ik  goT  hotī  hai
har  ik  khelne  vaale  kī  bas  ik  hī  tamannā  hai
isī  carrom  ke  konoñ  meñ  jo  chhoTe  chhoTe  kamre  haiñ
har  ik  yaañ  khelne  vaalā  isī  dhun  meñ  hai  sargardāñ
isī  kāvish  meñ  rahtā  hai
udhar  raanī  kī  sharteñ  haiñ  karegā  jo  bhī  puurī  ye
to  raanī  tab  hī  jā.egī
mujhe  raanī  kī  shartoñ  par  baḌā  hī  pyaar  aayā  hai
khilāḌī  to  nahīñ  raanī  magar  raanī  to  hai  āḳhir
ka.ī  tarah  se  dekho  to
bahut  haiñ  zāviye  us  meñ
kabhī  raanī  ke  hote  bhī
shikast-e-fāsh  hotī  hai
kabhī  raanī  to  miltī  hai  magar
tum  haar  jaate  ho
kabhī  aisā  bhī  hotā  hai
koī  raanī  ko  na  pā  kar