tumhāre  naam  tumhāre  nishāñ  se  be-sarokār
tumhārī  yaad  ke  mausam  guzarte  jaate  haiñ
na  vo  nashāt-e-tasavvur  ki  lo  tum  aa  hī  ga.e
na  zaḳhm-e-dil  kī  hai  sozish  koī  jo  sahnī  ho
utaar  de  jo  kināre  pe  ham  ko  kashtī-e-vahm
to  gird-o-pesh  ko  girdāb  hī  samajhte  haiñ
na  koī  zaḳhm  na  marham  ki  zindagī  apnī
guzar  rahī  hai  har  ehsās  ko  gañvāne  meñ