ye  kitāboñ  kī  saf-ba-saf  jildeñ
kāġhazoñ  kā  fuzūl  istīma.al
raushnā.ī  kā  shāndār  isrāf
sīdhe  sīdhe  se  kuchh  siyah  dhabbe
jin  kī  taujīh  aaj  tak  na  huī
chand  ḳhush-zauq  kam-nasīboñ  ne
basar  auqāt  ke  liye  shāyad
ye  lakīreñ  bikher  Daalī  haiñ
kitnī  hī  be-qusūr  nasloñ  ne
in  ko  paḌhne  ke  jurm  meñ  tā-umr
le  ke  kashkūl-e-ilm-o-hikmat-o-fan
kū-ba-kū  jaañ  kī  bhiik  māñgī  hai
aah  ye  vaqt  kā  azāb-e-alīm
vaqt  ḳhallāq  be-shu.ūr  qadīm
saarī  tārīfeñ  un  añdheroñ  kī
jin  meñ  partav  na  koī  parchhā.īñ
aah  ye  zindagī  kī  tanhā.ī
sochnā  aur  sochte  rahnā
chand  ma.asūm  pāgaloñ  kī  sazā
aaj  maiñ  ne  bhī  soch  rakkhā  hai
vaqt  se  intiqām  lene  ko
yūñhī  tā-shām  saade  kāġhaz  par
TeḌhe  TeḌhe  ḳhutūt  khīñche  jaa.eñ