Jaun Eliya

raaten sachchi hain din jhuTe hain

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
chāhe tum merī bīnā.ī khurach Daalo phir bhī apne ḳhvāb nahīñ chhoḌūñgā
un kī lazzat aur aziyyat se maiñ apnā koī ahd nahīñ toḌūñgā
tez nazar nā-bīnāoñ kī ābādī meñ
kyā maiñ apne dhyān kī ye pūñjī bhī ginvā duuñ
haañ mere ḳhvāboñ ko tumhārī sub.hoñ kī sard aur sāya-gūñ tābīroñ se nafrat hai
in sub.hoñ ne shaam ke hāthoñ ab tak jitne sūraj beche
vo sab ik barfānī bhaap kī chamkīlī aur chakkar khātī golā.ī the
so mere ḳhvāboñ kī rāteñ jaltī aur dahaktī rāteñ
aisī yaḳh-basta tābīroñ ke har din se achchhī haiñ aur sachchī bhī haiñ
jis meñ dhundlā chakkar khātā chamkīlā-pan chhe atrāf kā rog banā hai
mere andhere bhī sachche haiñ
aur tumhāre ''rog ujāle'' bhī jhūTe haiñ
rāteñ sachchī haiñ din jhūTe
jab tak din jhūTe haiñ jab tak
rāteñ sahnā aur apne ḳhvāboñ meñ rahnā
ḳhvāboñ ko bahkāne vaale din ke ujāloñ se achchhā hai
haañ maiñ bahkāoñ kī dhund nahīñ oḌhūñgā
chāhe tum merī bīnā.ī khurach Daalo maiñ phir bhī apne ḳhvāb nahīñ chhoḌūñgā
apnā ahd nahīñ toḌūñgā
yahī to bas merā sab kuchh hai
maah o saal ke ġhārat-gar se merī Thanī hai
merī jaan par aan banī hai
chāhe kuchh ho mere āḳhirī saañs talak ab chāhe kuchh ho
Top Urdushayar.com