Jaun Eliya

shayad

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
maiñ shāyad tum ko yaksar bhūlne vaalā huuñ
shāyad jān-e-jāñ shāyad
ki ab tum mujh ko pahle se ziyāda yaad aatī ho
hai dil ġhamgīñ bahut ġhamgīñ
ki ab tum yaad dildārāna aatī ho
shamīm-e-dūr-māñda ho
bahut ranjīda ho mujh se
magar phir bhī
mashām-e-jāñ meñ mere āshtī-mandāna aatī ho
judā.ī meñ balā kā iltifāt-e-mehramāna hai
qayāmat kī ḳhabar-gīrī hai
behad nāz-bardārī kā aalam hai
tumhāre rañg mujh meñ aur gahre hote jaate haiñ
maiñ Dartā huuñ
mire ehsās ke is ḳhvāb kā anjām kyā hogā
ye mere andarūn-e-zāt ke tārāj-gar
jazboñ ke bairī vaqt kī sāzish na ho koī
tumhāre is tarah har lamha yaad aane se
dil sahmā huā sā hai
to phir tum kam hī yaad aao
matā-e-dil matā-e-jāñ to phir tum kam hī yaad aao
bahut kuchh bah gayā hai sail-e-māh-o-sāl meñ ab tak
sabhī kuchh to na bah jaa.e
ki mere paas rah bhī kyā gayā hai
kuchh to rah jaa.e
Top Urdushayar.com