maiñ  shāyad  tum  ko  yaksar  bhūlne  vaalā  huuñ
shāyad  jān-e-jāñ  shāyad
ki  ab  tum  mujh  ko  pahle  se  ziyāda  yaad  aatī  ho
hai  dil  ġhamgīñ  bahut  ġhamgīñ
ki  ab  tum  yaad  dildārāna  aatī  ho
shamīm-e-dūr-māñda  ho
bahut  ranjīda  ho  mujh  se
magar  phir  bhī
mashām-e-jāñ  meñ  mere  āshtī-mandāna  aatī  ho
judā.ī  meñ  balā  kā  iltifāt-e-mehramāna  hai
qayāmat  kī  ḳhabar-gīrī  hai
behad  nāz-bardārī  kā  aalam  hai
tumhāre  rañg  mujh  meñ  aur  gahre  hote  jaate  haiñ
maiñ  Dartā  huuñ
mire  ehsās  ke  is  ḳhvāb  kā  anjām  kyā  hogā
ye  mere  andarūn-e-zāt  ke  tārāj-gar
jazboñ  ke  bairī  vaqt  kī  sāzish  na  ho  koī
tumhāre  is  tarah  har  lamha  yaad  aane  se
dil  sahmā  huā  sā  hai
to  phir  tum  kam  hī  yaad  aao
matā-e-dil  matā-e-jāñ  to  phir  tum  kam  hī  yaad  aao
bahut  kuchh  bah  gayā  hai  sail-e-māh-o-sāl  meñ  ab  tak
sabhī  kuchh  to  na  bah  jaa.e
ki  mere  paas  rah  bhī  kyā  gayā  hai
kuchh  to  rah  jaa.e