puurā  chāñd  nikaltā  hai  to  bheḌiyā  aksar  rotā  hai
raat  ko  kuttā  bhauñ  bhauñ  kartā  din  ko  ullū  sotā  hai
sher  kī  ḳhāla  billī  us  ko  kyā  kyā  sabaq  paḌhātī  hai
khambā  nochne  lagtī  hai  bechārī  jab  ḳhisyātī  hai
bhaiñs  ke  kaan  se  kaalā  kavvā  juueñ  chugtā  jaatā  hai
bolī  bhaiñs  ki  ''ai  kavve  kyuuñ  mere  kaan  tū  khātā  hai''
uuñT  kī  kal  sīdhī  karne  ko  aa.e  the  kutte  raajā
bolā  uuñT  ki  ''pahle  tū  apnī  dum  sīdhī  kar  jā  jaa''
jugnū  kī  dum  se  chamgādaḌ  lene  thoḌī  aag  gayā
gīdaḌ  kī  bhabhkī  se  Dar  kar  bāġhaḌ  billā  bhaag  gayā
chamgādaḌ  kī  biivī  darvāze  se  ulTī  laTak  ga.ī
puurā  hāthī  niklā  lekin  dum  hāthī  kī  aTak  ga.ī
bandar  baañT  rahā  thā  phaliyāñ  bolā  gidh  ho  ke  barham
''ye  achchhī  taqsīm  hai  terī  ḳhud  le  ziyāda  ham  ko  kam''
hāthī  ke  dāñtoñ  ko  chūhe  ne  dekhā  to  ye  bolā
ye  to  daañt  dikhāne  ke  haiñ  khāne  vaale  daañt  dikhā
buDDhā  totā  paḌhne  kī  dhun  meñ  ik  din  schōl  gayā
kavvā  hañs  kī  chaal  chalā  to  apnī  chaal  hī  bhuul  gayā
saañp  ke  badle  bhaiñs  ke  aage  chuhiyā  biin  bajā.egī
ab  ke  iid  pe  būḌhī  ghoḌī  laal  lagām  lagā.egī
mor  kise  jañgal  meñ  jā  kar  apnā  naach  dikhātā  hai
gīdaḌ  kī  shāmat  aa.e  to  shahr  kī  jānib  jaatā  hai
dumba  zarrāfe  kī  gardan  nāpne  ko  tayyār  huā
murġhābī  ke  anDe  khā  kar  saañp  bahut  bīmār  huā
ban-mānus  kī  naak  pe  makkhī  baiThī  lekin  phisal  ga.ī
bhālū  ko  aatā  dekhā  to  shahd  kī  makkhī  sambhal  ga.ī
aadhā  tītar  khāyā  lekin  bhūkā  rah  gayā  babbar  sher
shernī  us  ke  vāste  le  kar  aa.ī  aadhā  aur  baTer
ullū  ko  har  shāḳh  pe  baiThā  dekh  ke  TaTTū  ḳhvār  huā
meñDak  kī  Tar-Tar  se  dariyā.ī  ghoḌā  bezār  huā
allāh-jī  kī  gaa.e  paḌosan  ke  ghar  khāne  phalī  ga.ī
puure  nau  sau  chūhe  khā  kar  billī  haj  ko  chalī  ga.ī