tujhe  ḳhud  se  alag  kaise  karūñ  meñ
tujhe  jab  khīñchtā  huuñ  ḳhud  se  bāhar
ragoñ  meñ  ab  ''merī  terā  lahū  hai
mirī  sūrat  bhī  tujh  sī  hū-ba-hū  hai
hai  merī  raat  meñ  ab  niiñd  terī
ham  ik  duuje  meñ  yuuñ  kho.e  hue  haiñ
ye  kahne  ko  hai  merī  dāstāñ  par
sabhī  aurāq  meñ  qisse  haiñ  tere
maiñ  shā.ir  tū  mirī  rūmāniyat  hai
maiñ  fursat  tū  mirī  masrūfiyat  hai
kalā.ī  meñ  to  chauḌī  kā  khanaknā
ġharaz  meñ  ā.īna  to  hai  sañvarnā
zabāñ  urdu  meñ  tū  merī  nafāsat
agar  maiñ  lucknow  tū  hai  nazākat