pyaar  kī  āḳhirī  pūñjī  bhī  luTā  aayā  huuñ
apnī  hastī  ko  bhī  lagtā  hai  miTā  aayā  huuñ
tū  ne  likhkhā  thā  jalā  duuñ  maiñ  tirī  tahrīreñ
tū  ne  chāhā  thā  jalā  duuñ  maiñ  tirī  tasvīreñ
tere  ḳhushbū  meñ  base  ḳhat  maiñ  jalātā  kaise
pyaar  meñ  Duube  hue  ḳhat  maiñ  jalātā  kaise
jin  ko  duniyā  kī  nigāhoñ  se  chhupā.e  rakkhā
jin  ko  ik  umr  kaleje  se  lagā.e  rakkhā
jin  kā  har  lafz  mujhe  yaad  hai  paanī  kī  tarah
yaad  the  mujh  ko  jo  paiġhām-e-zabānī  kī  tarah
tū  ne  duniyā  kī  nigāhoñ  se  jo  bach  kar  likkhe
sāl-hā-sāl  mire  naam  barābar  likkhe
tere  rūmāl  tire  ḳhat  tire  chhalle  bhī  ga.e
terī  tasvīreñ  tire  shoḳh  lifāfe  bhī  ga.e
kitnā  bechain  unheñ  lene  ko  gañgā-jal  thā
jo  bhī  dhārā  thā  unhīñ  ke  liye  vo  bekal  thā