raat  ke  surma.ī  añdheroñ  meñ
saañs  lete  hue  saveroñ  meñ
aabjū  ke  hasīñ  kināroñ  par
ḳhvāb-ālud  rahguzāroñ  par
gulsitānoñ  kī  sair  gāhoñ  meñ
zindagī  kī  hasīn  rāhoñ  meñ
mai-e-rañgīñ  kā  jaam  uThāte  vaqt
ranj-o-ġham  kī  hañsī  uḌāte  vaqt
shādmānī  meñ  ġham  ke  tūfāñ  meñ
raunaq-e-shahr  meñ  bayābāñ  meñ
raqs  kartī  huī  bahāroñ  meñ
ḳhūn-āshām  ḳhār-zāroñ  meñ
dopahar  ho  ki  nuur  kā  taḌkā
fasl-e-gul  ho  ki  daur  patjhaḌ  kā
sub.h  ke  vaqt  shaam  ke  hañgām
be-quyūd-e-maqām  be-hañgām
dāman-e-dil  ko  thaam  letī  hai
kitnī  gustāḳh  hai  tumhārī  yaad