fazā  meñ  dard-āgīñ  giit  lahrā.e  to  aa  jaanā
sukūt-e-shab  meñ  koī  aah  tharrā.e  to  aa  jaanā
samajh  lenā  koī  ro  ro  ke  tujh  ko  yaad  kartā  hai
samajh  lenā  koī  ġham  kā  jahāñ  ābād  kartā  hai
diloñ  ko  gudgudā.e  jab  tarannum  ābshāroñ  kā
ghaTā  barsāt  kī  jab  chuum  le  muñh  kohsāroñ  kā
zamāna  mushkiloñ  ke  jaal  phailā.e  to  phailā.e
qadam  baḌhte  raheñ  be-dard  duniyā  laakh  bahkā.e
jhaḌī  barsāt  kī  jab  aag  tan  man  meñ  lagātī  ho
guloñ  ko  bulbul-e-nāshād  hāl-e-dil  sunātī  ho