maiñ  haal  kā  muzhda  huuñ
maiñ  raunaq-e-fardā  huuñ
bachpan  kā  zamāna  hai
ḳhushiyoñ  kā  tarāna  hai
maiñ  haal  kā  muzhda  huuñ
maiñ  raunaq-e-fardā  huuñ
paḌh-likh  ke  baḌā  banñā
maqsad  bhī  hai  kāvish  bhī
maiñ  haal  kā  muzhda  huuñ
maiñ  raunaq-e-fardā  huuñ
maañ  baap  bahan  bhaa.ī
ulfat  hai  mujhe  sab  se
maiñ  haal  kā  muzhda  huuñ
maiñ  raunaq-e-fardā  huuñ
maiñ  rāj-dulārā  huuñ
maiñ  phuul  se  pyārā  huuñ
maiñ  haal  kā  muzhda  huuñ
maiñ  raunaq-e-fardā  huuñ
yā-rab  hai  duā  merī
nekī  ho  adā  merī
maiñ  haal  kā  muzhda  huuñ
maiñ  raunaq-e-fardā  huuñ