apnī  tahzīb  hai  aur  apnī  zabāñ  hai  urdu
apne  ghar  meñ  magar  afsos  kahāñ  hai  urdu
ahl-e-ulfat  ke  liye  husn-e-ravāñ  hai  urdu
ahl-e-dil  ke  liye  dilkash  hai  javāñ  hai  urdu
aaj  bhī  'ġhālib'  o  'iqbāl'  paḌhe  jaate  haiñ
aaj  bhī  kal  kī  tarah  jādū-bayāñ  hai  urdu
aaj  bhī  'prem'  ke  aur  'krishn'  ke  afsāne  haiñ
aaj  bhī  vaqt  kī  jamhūrī  zabāñ  hai  urdu
aaj  bhī  mulk  kī  azmat  ke  haiñ  naġhme  is  meñ
aaj  bhī  qaum  kī  hurmat  kā  bayāñ  hai  urdu
aaj  bhī  bazm  kī  raunaq  hai  'atā'  is  ke  sabab
mahfil-e-sher  kī  is  vaqt  bhī  jaañ  hai  urdu