dostoñ  meñ  sab  se  achchhā  dost  hai  achchhī  kitāb
aa  batā  duuñ  kaisī  hotī  hai  'atā'  achchhī  kitāb
har  qadam  par  nek-o-bad  kā  farq  batlātī  hai  ye
har  qadam  ko  sīdhī-sachchī  raah  dikhlātī  hai  ye
dīn-o-duniyā  kā  hamesha  ham  ko  detī  hai  sabaq
raushnī  hī  raushnī  detā  hai  is  kā  har  varaq
sīkhtī  hai  is  se  duniyā  kāmrānī  kā  hunar
ye  atā  kartī  hai  sab  ko  zindagānī  kā  hunar
sahl  ho  jaatī  haiñ  is  se  vaqt  kī  bārīkiyāñ
duur  kartī  hai  ye  sab  ke  zehn  kī  tārīkiyāñ
zindagī  ke  imtihāñ  meñ  hausla  detī  hai  ye
chāhne  vāloñ  ko  ūñchā  martaba  detī  hai  ye
is  kī  sohbat  se  farozāñ  aaj  sham-e-e'tibār
is  kī  ulfat  se  daraḳhshāñ  aaj  husn-e-iḳhtiyār
zindagī  paatī  hai  is  se  aap  ḳhud  apnī  ḳhabar
zindagī  paatī  hai  is  se  ik  maqām-e-mo.atabar
baḳhshtī  hai  ye  basārat  aur  basīrat  bhī  hameñ
taaki  dikhlā.ī  paḌe  shai  kī  haqīqat  bhī  hameñ
ye  hameñ  batlātī  hai  ham  kyā  haiñ  aur  duniyā  hai  kyā
ye  hameñ  batlātī  hai  rab  kaun  hai  uqbā  hai  kyā
is  ke  dāman  meñ  haiñ  pinhāñ  har  zamāne  ke  uluum
is  ke  āñgan  meñ  haiñ  raqsāñ  chāñd  sūraj  aur  nujūm
is  ke  jalve  se  huvaidā  ma.arifat  kī  daulateñ
nuur  se  is  ke  huā  insān  kā  irfāñ  hameñ
is  ke  dam  se  ham  pe  vāzeh  uqda-e-marg-o-hayāt
is  ke  dam  se  ham  pe  raushan  hai  jahān-e-kā.enāt
is  qadar  jāma.a  mukammal  haiñ  'atā'  is  kī  sifāt
kab  hai  mumkin  pesh  karnā  ai  'atā'  is  kī  sifāt