kabhī  tasvīr  se  bāhar  nikal  kar  bol  bhī  uTTho
hamesha  ek  sā  chehra  liye  kyuuñ  takte  rahte  ho
maañ  aksar  merī  khāñsī  par  tumhārā  dhokā  khātī  hai
ye  baḌ  kī  merī  ik  aadat  tumhārī  sī  batātī  hai
kabhī  pūchho  ki  itnī  raat  ko  kyuuñ  ghar  maiñ  aatā  huuñ
kabhī  DāñTo  ki  maiñ  is  tarah  kyuuñ  paise  uḌātā  huuñ
maiñ  ik  hotel  meñ  cigarette  pī  rahā  huuñ  tum  dikhā.ī  do
maiñ  rūThā  huuñ  merā  kāñdhā  chhuo
phir  muskurāo  aur  khāne  par  bulā  lo
maiñ  phir  se  paas  ho  kar  aa  gayā  huuñ  thapthapāo
tū  āḳhir  merā  beTā  hai  kaho  maañ  ko  chiḌhāo
suno  ab  log  aksar  pūchhte  haiñ
kis  ke  beTe  ho