qābil-e-dīd  hai  mashshātgī-e-fasl-e-bahār
zulf-e-sumbul  meñ  nayā  husn  nazar  aatā  hai
dekh  kar  surḳhī-e-ruḳhsār-e-gulistāñ  gulchīñ
apne  dastūr  meñ  tarmīm  kiye  jaatā  hai
zer-e-tartīb  hai  ā.in-e-chaman-ārā.ī
ye  haqīqat  hai  ki  takmīl  abhī  baaqī  hai
bāġhbānī  abhī  lazzat-kash-e-gul-chīnī  hai
dekh  kar  dast-e-havas  phuul  laraz  jaate  haiñ
yahī  tārīḳh-e-chaman  hai  yahī  tārīḳh-e-bahār
pahle  do  chaar  hī  phūloñ  pe  nikhār  aatā  hai