kyuuñ  jān-e-hazīñ  ḳhatra-e-mauhūm  se  nikle
kyuuñ  nāla-e-hasrat  dil-e-maġhmūm  se  nikle
urdu  kā  ġham-e-marg  subuk  bhī  hai  garāñ  bhī
hai  shāmil-e-arbāb-e-azā  shāh-e-jahāñ  bhī
ai  tāj-mahal  naqsh-ba-dīvār  ho  ġham  se
ai  qil.a-e-shāhī  ye  alam  pūchh  na  ham  se
saaya  ho  jab  urdu  ke  janāze  pe  'valī'  kā
hoñ  'mīr-taqī'  saath  to  hamrāh  huuñ  'saudā'
bad-zauq  hai  ahbāb  se  go  zauq  haiñ  ranjūr
urdu-e-muallā  ke  na  mātam  se  raheñ  duur
hai  marsiyāñ-ḳhvāñ  qaum  haiñ  urdu  ke  bahut  kam
kah  do  ki  'anīs'  is  kā  likheñ  marsiya-e-ġham
is  laash  ko  chupke  se  koī  dafan  na  kar  de
pahle  koī  'sirsayyad'-e-a.azam  ko  ḳhabar  de
urdu  ke  janāze  kī  ye  saj-dhaj  ho  nirālī
saf-basta  hoñ  marhūma  ke  sab  vāris-o-vālī