āvāra-gard  lamhe  yuuñ  be-qarār  bhaTkeñ
jaise  parind  pyāse  dīvāna-vār  bhaTkeñ
be-jān-o-be-takallum  ik  aarzū  hai  tanhā
jañgal  meñ  jaise  koī  vīrān  sī  imārat
bastī  se  duur  jaise  ḳhāmoshiyoñ  kā  parbat
taane  khaḌā  ho  ḳhud  ko  jāmid  sadī  kī  sūrat
ehsās  apnī  lau  par  yuuñ  tamtamā.e  jaise
sho.aloñ  pe  chal  rahā  ho  ik  be-libās  jogī
kahtī  hai  aql  ham  ko  jalvat-pasand  rogī
kyā  sādhūoñ  meñ  aisī  jvālā  jagī  na  hogī
aksar  sameTte  haiñ  bikhre  hue  junūñ  ko
ham  log  aaj  bhī  haiñ  kis  darja  nā-mukammal
shaitāñ  sifat  sharāre  oḌhe  dhueñ  ke  kambal
doshīzgī  ġham  ko  jhulsā.eñ  jab  musalsal
chiñghāḌtī  haiñ  sāñseñ  sīnoñ  meñ  be-tahāshā
jaise  aziim  insāñ  pāmāl  ho  gayā  ho
jaise  har  ek  luT  kar  kañgāl  ho  gayā  ho
ik  muḳhtasar  sā  pal  bhī  sad  saal  ho  gayā  ho
ajgar  guphā  meñ  leTā  shīrīniyāñ  chabā.e
aur  ham  ye  sūkhe  patte  ab  tak  baTorte  haiñ