lamha  lamha  ḳhūnīñ  ḳhanjar
sadiyāñ  jībheñ  haiñ  sāñpoñ  kī
ghaaT  pe  baiThī  pyaas  kī  devī
aur  jādūgar
vaqt  kī  āñkheñ  dekh  rahī  haiñ
murda  ghar  ke  ik  kamre  ke  tez  dhueñ  meñ
ek  kuñvārī  nañgī  aurat
chaaT  rahī  hai
apne  hī  be-rañg  lahū  ko
man  kī  āñkheñ  khol  ke  dekhūñ  to  kyā  dekhūñ
sab  to  suulī  par  laTkā  hai
sab  kuchh  luTā  luTā  lagtā  hai
koī  chupke  se  kahtā  hai
nañgī  aurat  kī  jāñghoñ  meñ  saañp  Daal  kar  maiñ  so  jā.ūñ
lekin  koī  chīḳh  rahā  hai
vaqt  kī  āñkheñ  dekh  rahī  haiñ
lamha  lamha  ḳhūnīñ  ḳhanjar
sadiyāñ  jībheñ  haiñ  sāñpoñ  kī