Chandrabhan Khayal

tanhai

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
tanhā baiThā huuñ kamre meñ maazī kī tasvīr liye
ab to anjāne qadmoñ kī aahaT se jī Dartā hai
merī chāhat un ke va.ade dafn hue tahrīroñ meñ
jhūTe haiñ saare afsāne kaun kisī par martā hai
siine kī har ek jalan se samjhautā kar ke maiñ ne
in saarī biitī bātoñ ko tārīkī meñ chhoḌ diyā
shīsha kah lo patthar kah lo kabhī bhī kah luuñ is dil ko
maiñ ne is afsurda shai ko tanhā.ī se joḌ diyā
ab nāzuk nāzuk zehnoñ par faulādī hamla hogā
shīshoñ ke paikar pighleñge pathrīlī tanhā.ī meñ
ḳhvāboñ kā sansār sunahrā tah-ḳhānoñ meñ bhaTkegā
aql bichārī jā dubkegī soch kī gahrī khaa.ī maiñ
Top Urdushayar.com