tanhā  baiThā  huuñ  kamre  meñ  maazī  kī  tasvīr  liye
ab  to  anjāne  qadmoñ  kī  aahaT  se  jī  Dartā  hai
merī  chāhat  un  ke  va.ade  dafn  hue  tahrīroñ  meñ
jhūTe  haiñ  saare  afsāne  kaun  kisī  par  martā  hai
siine  kī  har  ek  jalan  se  samjhautā  kar  ke  maiñ  ne
in  saarī  biitī  bātoñ  ko  tārīkī  meñ  chhoḌ  diyā
shīsha  kah  lo  patthar  kah  lo  kabhī  bhī  kah  luuñ  is  dil  ko
maiñ  ne  is  afsurda  shai  ko  tanhā.ī  se  joḌ  diyā
ab  nāzuk  nāzuk  zehnoñ  par  faulādī  hamla  hogā
shīshoñ  ke  paikar  pighleñge  pathrīlī  tanhā.ī  meñ
ḳhvāboñ  kā  sansār  sunahrā  tah-ḳhānoñ  meñ  bhaTkegā
aql  bichārī  jā  dubkegī  soch  kī  gahrī  khaa.ī  maiñ