sab  kuchh  yaad  kar  rahā  huuñ  maiñ
koī  baat  bhulā  dene  ko
aur  ye  kaisī  sachchā.ī  hai
aaj  bhūlne  kī  koshish  meñ
sadiyoñ  kī  tārīḳheñ  azbar  kar  baiThā  huuñ
maiñ  hairāñ  huuñ  maiñ  huuñ  pareshāñ
kaise  chhupā.ūñ  hālat  apnī
har  koshish  lā  hāsil  merī
aur  ye  kamrā  ye  dīvāreñ
khūñTī  se  laTkī  shalvāreñ
ye  be-raunaq  būḌhī  rāteñ
farsh  pe  lipTī  biitī  bāteñ
ye  sab  mujh  par  bojh  bane  haiñ
uf  ye  kaisā  zulm  hai  mujh  par
jab  bhī  maiñ  nañgā  hotā  huuñ
mere  tan  par  chādar  koī  paḌī  hotī  hai
vo  bhī  ek  ghaḌī  hotī  hai
jab  siine  par  shahr  khaḌā  ho
tab  kuchh  be-ma.anī  chīḳhoñ  se
ik  matlab  kī  chīḳh  achānak  maiñ  hathyā  luuñ
aur  kisī  ḳhāmosh  jagah  tanhā  goshe  meñ
saarā  matlab  chhīn  jhapaT  kar
fauran  us  kā  galā  dabā  duuñ
maiñ  shāyad  kuchh  bhuul  rahā  huuñ
haañ  maiñ  sab  kuchh  bhuul  chukā  huuñ
ab  tanhā  ḳhālī  kamre  meñ
haath  meñ  nañgā  chhurā  dabā.e
dauḌ  rahā  huuñ  bhaag  rahā  huuñ
ye  bhī  mujh  ko  yaad  nahīñ  ab
soyā  huuñ  yā  jaag  rahā  huuñ
qatl  ke  fauran  ba.ad  magar  phir
vo  sab  kā  sab  yaad  rahegā
jise  bhūlne  kī  koshish  meñ
sadiyoñ  kī  tārīḳheñ  azbar  kar  baiThā  huuñ