qarīb-e-sub.h  sadā-e-shikast-e-jāñ  ubhrī
laboñ  kā  zahr  achānak  pighal  gayā  āḳhir
sukūt-e-jism  lahū  piite  piite  chauñk  uThā
ye  kaun  shab  kī  tamāzat  se  jal  gayā  āḳhir
karāhtā  sā  uThā  koī  TūTtā  paikar
siyāhiyoñ  meñ  sulagtā  huā  dhuāñ  jaise
jhaTak  ke  daur  huī  bistaraoñ  se  uktāhaT
lipaT  gayā  ho  koī  saañp  nā-gahāñ  jaise
azāb-e-rūh  makānoñ  kā  dard  chāTegā
baḌheñge  shahr-e-tamannā  kī  samt  sab  saa.e
kashā-kashoñ  ke  samundar  meñ  Dubkiyāñ  lete
har  ek  zaat  kī  maujūdiyat  se  uktā.e
gharoñ  meñ  qaid  dar-o-bām  kī  har  ik  uljhan
galī  galī  ke  laboñ  se  lipaT  rahī  hogī
tabī.atoñ  ko  sambhāle  hue  dhueñ  kī  lakīr
varaq  kitāb-e-nafas  ke  ulaT  rahī  hogī
rahegā  yuuñ  hī  saroñ  par  itaab  kā  sūraj
isī  tarah  se  basar  hote  jā.eñge  din-rāt