phail  kar  phir  shab-e-tārīk  huī  bahr-e-siyāh
qatra  qatra  lab-e-tanhā.ī  se  Tapke  ehsās
dafn  hai  raakh  ke  ambār  tale  azm  kī  laash
justujū  us  kī  kare  aaj  kise  fursat  hai
ab  to  alfāz  ke  chehroñ  kī  ḳharāsheñ  paḌh  kar
vaqt  ko  Taal  diyā  jaa.e  gadāgar  kī  tarah